Blogging Journey Me Do Sabd Zindegi Ke.

Zindegi to mera tavi chahal geya tha, Jab maine Domain kharidne ke Paise ek dushre jagah lagaya tha. Kahan Lagaya tha bataunga agge……

Khair Age baat karenge kuch Zindegi aur Blogging se judi.

App me se kai saare log soch rahe honge ki Akhir ye banda sayad kahin se Post/Tips/Images/ Kahinse copy to nehi kar raha.

To mere dost Ek Shayeri sunata honn.

Na me Chori karta hoon,

Na me Copy karta hoon

Na me chori karta hoon Na me copy karta hoon.

Bas Ek Blogger ke Jajbaaton Ko Baaton me Utara Karta Hoon.

Saare Batein ek post me nehi bata sakta mein. Jude rahiye mere saath mere Zindegi me Sayad kuch Sikh miljaye.

Ye baat bohat purana hai, Tab Ghar ke Halat kuch ese the ki Do wakt ki Roti to miljati thi lekin Tution ke fees bharne keliye paise na mil pate the.

Situation hi kuch aisi thi.

Na jane kitne sapne the, Ajj v hain, Agge v rahenge but pure nehi Honge. Abb aplog soch rahe honge ki spane pure karne keliye hosla chahiye, Lakshya chahiye, Sapne har wakt pure ho sakte hain. Ji nehi mere dost App galat hain. Ye Baatein sirf sunne me acha lagta hai.

Adhura sapna ke baare me usko puchiye jo Banda Situation ke maare apne Pyar Ko choda hai, Usko puchiye Jiske pass Sab kuch hote huye v apne baap ko bacha na saka.

Kaffi jaj baati Hoon me isiliye na Me youtube me hoon, Na facebook me, Na ki Whatsapp me. App logon ke comments padhta hoon to Acha lagta hai..Bohat Acha.

Chodiye wo sab baatein Abb me bataunga KI maine kya sikha hai ye Online Field se. Dherya Rakh ke padhna jyada lamba post me nehi likhta.

Blogging Se Maine esa kuch sikha Jo Zindegi badal dega apka.

Domain kharidne ke paise Jisko maine 17 din Save karke rakha tha. Ek din Facebook me ek Advertisement dikha ki ” HOW TO BECOME A SEO EXPERT”. 500 ya 550 kuch the uske price maine usko kharid liya. Then jab course over hua to maine practical v kiya blogspot ke Subdomain par. But result 0, Dost ke blog par kiya But Result 0.

Pehle to mereko kuch samajh nehi aya

Phir jab Dhire Dhire experience hua tab ek baat pata chala.

Agar wo Banda SEO EXPERT tha aur Training de raha tha to usne Facebook me ADDS Kyu Chalai.

Zindegi me Har Wakt Logic Dhundo.

Wo to Organic tarike se rank karke training v desakta tha.

And training/Course me wo sirf Keywords stuffing ke bare me bataya tha.

Chodo Jyada nehi bolunga but Mereko ye laga Bas.

Phir kuch mahine baad maine ek hosting and domain liya ek hi company se (Naam nehi bataunga) Wahanpe sab Unlimited likha tha like Bandwidth, Storage etc etc. But jab mera Per day 600 se 700 Traffic aya tab Wo down hogeya.

Phir Maine Group Buy me Ahref kharidli Wahan v Unlimited ka wada kiye baithe the bande. Lekin jab maine thoda extra use kiya like 100 se 200 Keywords per day to Limit aageya.

Tab saala samajh me aya ki Unlimited naam ki koi chiz hi na hoti hai. Ye UNLIMITED jo word hain na isko Marketers apne sale badhane keliye use karte hain.

Zindegi me Koi V Chiz Unlimited Wala nehi Hoti

Avi me Kaafi sare blogs me Siteground ka hosting Use karta hoon, Yakin maniye Bohat hi Satisfied hoon me and kavi b mujhe Support ko call karne ki jarurat nehi padi.

And Avi me yahanse SEO Groupbuy Tool leta hoon. Limit to kavi check nehi kiya but phir v acha hai and Downtime v na ke barabar hai.

Bas ye sab chote chote update Zindegi se related and Blogging se related apko har week me milti rahegi. Bas Comment karke bataiyega ki kaisa laga and Kya ye chiz apke zindegi Se relate karti hai.

9 thoughts on “Blogging Journey Me Do Sabd Zindegi Ke.”

  1. M relate kr skta hu, bss course purchasing ko chodkr, kyoki mne khudse sikha hai sbb(YouTube and Google), bss usi se aaj thodi bhot 6figure income ho jaati hai and or aage btaoge tb syd usme bhi kaafi kuch relate krne vala hai mtlb sch m kaafi kuch same hai isme.

    Reply

Leave a Comment

Copy link